Sunday, February 12, 2012

NAHIN 'TANHA' KABHI TUM BAAZ AANA


Hazaaron baar tuti hain jo tumnain kee hain apnon se
Magar har baar tum ek phir nai umeed karte ho
- -- - - - - - Kabhi 'TANHA' magar tum baaz mat aana,
Kabhi khud ko kaha naadaan hazaaron baar ye socha
Meri hi kuch khata hogi kabhi khud ko liya samjha
Magar jo ab talak hota chala aaya hai phir hoga
Karenge phir tumhain ruswa jinhe apna sada samjha
Jahaan thokar lage bas muskuraana 
- - - - - - - - Kabhi 'TANHA' magar tum baaz mat aana
Tumhain to chaahiye tha ye ki samjho rukh hawaaon ka
Nai duniyaan hai ye ab kaun deta haq wafaaon ka
Kise kab paas lanaa hai kise kab door kar dena
Rivaayat hai yahi sabko bas itna hi nibhaana hai
Tumhari hai magar fitrat chaloge larkharaaoge
Kabhi khud ko juda fitrat se lekin kar na paana 
- - - - - - - - Kabhi 'TANHA' magar tum baaz mat aana
Nahin tum aadmi waise bure ye jaan lo 'Tanha'
Unhain ho sharm jo tumko sada karte rahe ruswa
Kisi se ab magar umeed na hogi kasam kha lo
Sabhi ke haq main hai itna sabhi kuch bhool jaana tum
Zara si baat hai itna bhi mat dil se lagaana
Jahaan thokar lage bas muskuraana 
- - - - - - - - Magar 'TANHA' kabhi to baaz aa jaana

- - - - - - - - - - - - - - - - - - - 'tanha'

- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - 
Kahaan umeed rakhiye ye pata nahin chalta
Nibhao dosti kitni, sila nahin milta
Bache na dost par Dushman abhi bhi kam to nahin
Kabhi kisi ko maqammal jahaan nahin milta

KABHI KISI KO MUQAMMAL JAHAAN NAHIN MILTA 

Tuesday, May 31, 2011

SAFAR MERA
--------------------------------------------------
Wo aadam tha nikalna khuld se jo seh gaya lekin,
Main 'Tanha' na to baighairat, na hi beaabru utna.

Hai sar haathon main, kandhe pe mere ab bojh hi kya hai,
Nazar neechi, kamar dohri, safar aasan hua kitna,

Na main is daur ka hi hoon, na ye duniya meri apni,
Chaloon poora karoon nikloon, safar baaqi hai ab jitna.

Ki jaise aankh se aansu nikal kar gaal tak pahunche,
Ho poora wo safar jaise, mera bhi bas safar itna.

Kabhi kuch to mayassar ho, safar poora kabhi to ho,
Ki raas aa jaaye 'Tanha' ko kisi manzil pe mar mitna.

---------------------------------------------------- 'Tanha'

Dara hua hoon ki kahin manzile talash na lain
Main hoon Safar main koi humsafar nahin milta
Chala hua hoon musalsal wajeh nahin koi,
Kabhi kisi ko muqammal jahaan nahin milta
Kabhi kisi ko muqammal jahaan nahin milta

Tuesday, May 24, 2011

DUNIYAAN SE JAANE WALE,

- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -

Ek saal ho gaya, PapaJi ko gaye,

Is ek saal ne mujhe bhi kai saal bara kar diya.

Bari saqht cheez hai ye Zindagi, saare paagal pralaapon ko ansuna karti hui badhi chali jaati hai,har roz, har pal. Marne wale ke saath koi marta nahin, lekin har jeevit vyakti har pal maut ko apne andar mehsoos karta hai,

apne saath le kar chalta hai.

Main bhi apna saleeb dhoe jeevan path par chal raha hoon.

Phir ek din aayega ki mere kandhe se utar kar

kahin gar jaayega

- ye saleeb mera.

naye waqt ki aandhi mita degi puraane kadmon ke nishaan,aur sab kuch phir pehle jaisa ho jaayega.

Jaane chale jaate hai kahaan

Duniyan se jaane wale

kaise dhoonde koi unko,

nahin qadmon ke bhi nishaan


- - - - - - - - - - - - - -------------------------------------------'Tanha'

Harek shaqs liye chal raha apne hi gham hazaar,

Kabhi kisi ke liye kaarvan nahin rukta,,

Hai safar to manzil nahin, ho manzil to nahin raah,

Kabhi kisi ko muqammal jahaan nahin milta.


'Kabhi kisi ko muqammal jahaan nahin milta'

Saturday, May 14, 2011

MUSAAFIR NAAMA

Jis waqt use neend aayi thi,

tab meri kahaani baaqui thi.

Phir pehla savera hote hi

wo apne safar par chal nikla ,

Aur meri kahaani ruk si gayi.

Ab waqt use lauta ke kabhi

us or agar le aaya to,

wo mujh ko wahin paaega kabhi chora tha jahaan,

main apni adhoori baat liye,

aur ek adhoori aas liye,

Baitha hoon wahin.

Baitha hoon wahin.

Ab 'Waqt' bara bhaari hai mujhe,

Aur us ko bhi ab milta hai kahaan

Milte hain musaafir ki tarha,

Hai wo bhi safar main, main bhi yahaan,

Par Dil main kahin ek tees to hai,

Reh reh ki ubhar bhi aati hai

Wo taar hamaari baaton ke,

Uljhe hain kahaan

Hain dafn hazaaron afsaane

usko jo sunane baaqi hain,

Kuch kwaab jo dekhe the maine

Wo usko dikhaane baaqi hain.


- - - - Par waqt use milta hai kahaan, - - - - -

Haan waqt kabhi lauta ke use,

Us or agar le aaya to,

Main ab bhi adhhori aas liye,

Kuch us ke mutaaliq afsaane,

Jo us ke liye dekhe the kabhi wo kwaab liye,

Baitha hoon wahin,

Baitha hoon wahin

- - - - - - - - - - - - - - - -- - 'Tanha '


mujhe diya hai bahut toone shukriya ae dost,

ki kya naseeb tha mera jo kuch yahaan milta.

Jo tune mujko diya hai bahut hai mere liye,

Kabhi kisi ko muqammal jahaan nahin milta

KABHI KISI KO MUQAMAL JAHAAN NAHIN MILTA

Wednesday, March 16, 2011

BAS YOON HI KUCH




Khud apne aap se milna kahaan koi aasaan,

Humain to arsa hua khud ki hi khabar na hui.


Tamaam umr sitaaron ki roshni main kati,

Siyaah raat thi aisi ki phir seher na hui.


Meri zameen main ab koi gul nahin khilta,

tu khush to hai ki aah teri beasar na hui .


Kai the yaar, kai hamsafar, kai dilbar,

Bhare jahaan main tanhai mukhtasar na hui.


Rahee hamesha hi umeed waqt badlega

ki hogi talkhiy-e hayaat kam magar na hui.


Ye aur baat ki 'Tanha' ko dhoe phirte hain
magar ye sach hai saath apne hi guzar na hui

- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - 'Tanha'


Akele rehna agar chaaho, duniya gheregi,
jo chaaho mehfilain apna koi nahin milta .
khushi main 'Tanha' aur udaas mehfilon main raha,
Kabhi kisi ko muqammal jahaan nahin milta .

Kabhi kisi ko muqammal jahaan nahin milta

Sunday, August 29, 2010

ROODAD-E-TANHA

Ik to 'Tanha' ki kahaani main naya kuch bhi na tha,

Aur khud usne bhi duniyan se kaha kuch bhi na tha,,

Shaqs accha, tha raha hoga, kise kyaa lena,

Yaad us ko rakhen aisa to kiya kuch bhi na tha.


Tha wo sadiyon se rawaan jaise mijaje darvesh,

Jiski kismat main na manzil hai, faqat raahain hain,,

Behte paani ki maanind use behna tha,

Apna kehne ko kinaron ke siwa kuch bhi na tha.


Wo jo aksar kisi sunsaan safar main mashgool,

kisi khamosh musaafir ka bekaif tasaluul,,

wo jo chal parta tha soche bina, belos magar,

uske daaman main bandha kal ke liye kuch bhi na tha.


Kabhi tanhai main kahin baith ke kuch gaata tha,

Kabhi hanste hue kuch dard bhara, keh jaata tha,,

Tha samazna bara mushqil, wo azab paagal tha,

Naa kabhi hosh main hota tha, naa behosh bhi tha.


Jaane kis bozh ko dhoe hue wo chalta tha,

Kamar jhuki hui rehti thi , na kuch dikhta tha,,

Raat main baith andhere main wo kuch takta tha,

Uski pathrai hui aankhon mein, bacha kuch bhi na tha.


Khwab aisa nahin usne kabhi dekhe hi na the,

Khwab sabke he hon poore ye zuroori to nahin,,

Tha kisi khwab ki maanind siyaah raaton main,

Subha hote hi bacha jiska nishaan kuch bhi na tha.


Naa kabhi dard kabhi uska huaa jaahir hi,

Na kabhi uski kahaani ka pata chal paaya,,

Apni khaamoshi samete hua rukhsat 'Tanha',

Mit gaya jaise hawaaon ke siwa kuch bhi na tha.

                                                               

                                                                'TANHA'


Jaane kyun usne koi aisi tamanna ki thi,

Usko maayoos to hona tha, khatavaar jo tha,,

kyoon use itna bhi maloom nahin tha, jo sabhi kehte hain,

Kabhi kisi ko muqammal jahaan nahin milta.

Kabbhi kisi ko muqammal jahaan nahin milta

Tuesday, June 22, 2010

PAPA JI NAHIN RAHE

PAPA JI NAHIN RAHE


24 May 1143AM


Lily ka phone tha


Bahut dino se ye andesha ho chala tha,

Aisa kuch ho sakta hai, lagne laga tha,

Jab aaya tha tab haalat kaafi kharaab thi

Par phir bhi,


Papa Ji nahin rahe ?


1230 PM

I am in my Gypsy, traveling to Jallandhar Railway stn

I will board some train to Ambala,

Uske aage phir dekhi jaayegi

Ghar pahuchana hai, jaldi se jaldi,


Papa Ji nahin rahe


There is no train to Moradabad from Ambala,

So I will have to take a bus and go to Saharanpur

1745 PM ,

I pass Saharanpur,

Strange co incidence, the town of my family, my father,

I reach Roorkiee,

A friend has picked me up from Saharanpur bus stand and has also got me a ticket in Kaathgodam Express,

I will be in Kathgodam at 7 in the morning,

And at Naukuchiatal by 8 in the morning,

0815 AM, 25 May 2010

Naukuchiatal

I am reaching my parents home,

Where he would normally be found sitting in the veranda,

Reading news paper with the help of a magnifying glass,

Grumbling on his wife,

There is a crowed out side the house,

Aakri safar ki taiyaari hai,

Sirf mera intezaar hai,

I reach the veranda,

he is there

not grumbling, not reading

But lying on a bed of Ice slabs, his body frozen,

Waiting for me to arrive for almost 20 Hrs,

He is getting late,

Ab naye safar par nikalna hai, ye safar khatm hua,

Is jeewan main jo rishte bannaye the,

Sab yanhi chor ke jaana hai

Bara beta ab pahunch gaya hai,

Vida karo,


Papa Ji nahin rahe,


0940 AM

Arthi uthi hai,

logon ki aankkon main aansu hain

meri aankhon main sirf  dhund hai,

aansu pata nahin kahaan kho gaye,

Ek machine ki tarah jo kaha jaa raha hai kar raha hoon,

Chitrashila Ghat,

Behte paani ke upar pattharon ka platform,

Us par chita saji hai

yahaan ki yahi parampara hai,

Moonh main ghee daalo,

Parikrama karo,

Agni do,

Wo shaerer jis ka main hissa hoon,

Maine agni ke hawale kiya,

Sab hat gaye par mujhe rukna hoga,

Us shareer kaa har hissa puri tarah raakh ho jaaye,

Paani main beh jaaye,

to hatoon

Yahi ek jimmedari baaki hai,


4 PM


Chita jal chuki, raakh beh chuki, pathar hata diye gaye,

Nadi pehle ki tarah behti hai,

Sab khatm hua,

Jo mujhe dunia main laaya tha,

Jisne saalon meri parwarish ki

Use bas chand ghanton mein dunia se vida karke ab chalta hoon,

Bare bete ka kartvaya poora hua,

ab Pagri mere sar pe hai,


Papa Ji ab nahin rahe,


Ab Mummy ko sambhalna hai,

52 salon ke baad, wo akeli ho gayi

jeewan ka arth khatm ho gaya,


Wo kursi verande main, khaali pari hai,

Magnifing glass ki ab jaroorat khatm hui,


Papa Ji nahin rahe

 

main bhi ek roz isi taraha se ruksat loonga,
yahan kisi ka bhi sikka sada nahin chalta,
wo koi Raja ho ya  phir ho wo phakir koi,
Kabhi kisi ko muqammal jahaan nahi milta


KABHI KISI KO MUQAMMAL JAHAAN NAHIN MILTA