Sunday, March 25, 2012

Jazbaa

Naheen gore gareebaan Taj ye meri muhabbat ka

jabeensaai ki bas tehzeeb hi hum ko gavaara hai,,

hai bas izmaal kul itna , muhabbat ho gayee tum se,

koi kadgham naheen Tanha ka dil ab se tumhaara hai,,


Kayee the baam jin ko paar kar humko guzarna tha,

kayee manzil rahee hain taakti hum ko kinaare se,,

hain kitnee hi safar jo ho gaye bas naatamaam yoon hi,

magar raahain hui paamal ye kisko gawaara hai,,


Muqaddar baaz kyoon aaye, masarrat ho bhala kyoon kar,

meri duniyaan main mushte khaak ki bhi ab jagah kyoon ho,,

huee jaati hai bande gham se doobhar zeest yoon jaano,

main ab bhi saans leta hoon asar ye bas tumhaara hai,,


Safar hai tab muqammal, raaste main khaar bikhre hon,

lahoo se seenchta jaaye musaafir apni raahon ko,,

mujhe majdhaar main jaane ka koi shauq ab kyoon ho,

na hain toofaan ke aasar aur zad main kinaara hai,,


- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - 'TANHA'



Friday, March 16, 2012

shrdhanjali


Ekla Cholo Re
-------------------

teri aawaaz sun kar ansuna beshaq kare duniya
tujhe har haal main aage hi bas barhna sada tanha,

- - - - - - - - - - - - tujhe chalna hai bas tanha

teri baaton ka sach unki samajh main gar naheen aata
tera jeevat naheen sansaar ke vyvhaar ko bhaata,
samajh le sach ke sang kaayar khara hota nahin koi
abhage sach ki  khaatir  to tujhe larna hai bas tanha,

- -- - - - - - - - - - - tujhe chalna hai bas tanha

kabhi beehar se guzrengi teri raahain samajh le tu
kabhi chil jaayenge pag shool bikhre paayega har su,
lahoo se apni raahon ko jo seenche, paayega manzil
lahoo se bheegi raahon par tujhe barhna hai bas tanha,

- -- - - - - - - - - - - tujhe chalna hai bas tanha

bhale roshan tumhaari raah karne aaye na koi
garajti raat toofaani tumhein sun paaye na koi,
abhaage dil jale, roshan tere gham se hi lao hogi
tujhe is lao ke hi sang umr bhar jalna hai bas tanha,

- - - - - - - - - - - - tujhe chalna hai bas tanha

- - - - - - - - - - - - tujhe chalna hai bas ‘Tanha’

mein bas chala hua hoon manzilon se beparvaah
hoon mein safar main kyoon iska pata nahin chalta
raha safar main hi khush manzilein udaas milin
kabhi kisi ko muqammal jahaan nahin milta

Kabhi kisi ko muqammal jahaan nahin mita


-------------------------------------------------‘TANHA

Sunday, February 12, 2012

NAHIN 'TANHA' KABHI TUM BAAZ AANA


Hazaaron baar tuti hain jo tumnain kee hain apnon se
Magar har baar tum ek phir nai umeed karte ho
- -- - - - - - Kabhi 'TANHA' magar tum baaz mat aana,
Kabhi khud ko kaha naadaan hazaaron baar ye socha
Meri hi kuch khata hogi kabhi khud ko liya samjha
Magar jo ab talak hota chala aaya hai phir hoga
Karenge phir tumhain ruswa jinhe apna sada samjha
Jahaan thokar lage bas muskuraana 
- - - - - - - - Kabhi 'TANHA' magar tum baaz mat aana
Tumhain to chaahiye tha ye ki samjho rukh hawaaon ka
Nai duniyaan hai ye ab kaun deta haq wafaaon ka
Kise kab paas lanaa hai kise kab door kar dena
Rivaayat hai yahi sabko bas itna hi nibhaana hai
Tumhari hai magar fitrat chaloge larkharaaoge
Kabhi khud ko juda fitrat se lekin kar na paana 
- - - - - - - - Kabhi 'TANHA' magar tum baaz mat aana
Nahin tum aadmi waise bure ye jaan lo 'Tanha'
Unhain ho sharm jo tumko sada karte rahe ruswa
Kisi se ab magar umeed na hogi kasam kha lo
Sabhi ke haq main hai itna sabhi kuch bhool jaana tum
Zara si baat hai itna bhi mat dil se lagaana
Jahaan thokar lage bas muskuraana 
- - - - - - - - Magar 'TANHA' kabhi to baaz aa jaana

- - - - - - - - - - - - - - - - - - - 'tanha'

- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - 
Kahaan umeed rakhiye ye pata nahin chalta
Nibhao dosti kitni, sila nahin milta
Bache na dost par Dushman abhi bhi kam to nahin
Kabhi kisi ko maqammal jahaan nahin milta

KABHI KISI KO MUQAMMAL JAHAAN NAHIN MILTA 

Tuesday, May 31, 2011

SAFAR MERA
--------------------------------------------------
Wo aadam tha nikalna khuld se jo seh gaya lekin,
Main 'Tanha' na to baighairat, na hi beaabru utna.

Hai sar haathon main, kandhe pe mere ab bojh hi kya hai,
Nazar neechi, kamar dohri, safar aasan hua kitna,

Na main is daur ka hi hoon, na ye duniya meri apni,
Chaloon poora karoon nikloon, safar baaqi hai ab jitna.

Ki jaise aankh se aansu nikal kar gaal tak pahunche,
Ho poora wo safar jaise, mera bhi bas safar itna.

Kabhi kuch to mayassar ho, safar poora kabhi to ho,
Ki raas aa jaaye 'Tanha' ko kisi manzil pe mar mitna.

---------------------------------------------------- 'Tanha'

Dara hua hoon ki kahin manzile talash na lain
Main hoon Safar main koi humsafar nahin milta
Chala hua hoon musalsal wajeh nahin koi,
Kabhi kisi ko muqammal jahaan nahin milta
Kabhi kisi ko muqammal jahaan nahin milta

Tuesday, May 24, 2011

DUNIYAAN SE JAANE WALE,

- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -

Ek saal ho gaya, PapaJi ko gaye,

Is ek saal ne mujhe bhi kai saal bara kar diya.

Bari saqht cheez hai ye Zindagi, saare paagal pralaapon ko ansuna karti hui badhi chali jaati hai,har roz, har pal. Marne wale ke saath koi marta nahin, lekin har jeevit vyakti har pal maut ko apne andar mehsoos karta hai,

apne saath le kar chalta hai.

Main bhi apna saleeb dhoe jeevan path par chal raha hoon.

Phir ek din aayega ki mere kandhe se utar kar

kahin gar jaayega

- ye saleeb mera.

naye waqt ki aandhi mita degi puraane kadmon ke nishaan,aur sab kuch phir pehle jaisa ho jaayega.

Jaane chale jaate hai kahaan

Duniyan se jaane wale

kaise dhoonde koi unko,

nahin qadmon ke bhi nishaan


- - - - - - - - - - - - - -------------------------------------------'Tanha'

Harek shaqs liye chal raha apne hi gham hazaar,

Kabhi kisi ke liye kaarvan nahin rukta,,

Hai safar to manzil nahin, ho manzil to nahin raah,

Kabhi kisi ko muqammal jahaan nahin milta.


'Kabhi kisi ko muqammal jahaan nahin milta'

Saturday, May 14, 2011

MUSAAFIR NAAMA

Jis waqt use neend aayi thi,

tab meri kahaani baaqui thi.

Phir pehla savera hote hi

wo apne safar par chal nikla ,

Aur meri kahaani ruk si gayi.

Ab waqt use lauta ke kabhi

us or agar le aaya to,

wo mujh ko wahin paaega kabhi chora tha jahaan,

main apni adhoori baat liye,

aur ek adhoori aas liye,

Baitha hoon wahin.

Baitha hoon wahin.

Ab 'Waqt' bara bhaari hai mujhe,

Aur us ko bhi ab milta hai kahaan

Milte hain musaafir ki tarha,

Hai wo bhi safar main, main bhi yahaan,

Par Dil main kahin ek tees to hai,

Reh reh ki ubhar bhi aati hai

Wo taar hamaari baaton ke,

Uljhe hain kahaan

Hain dafn hazaaron afsaane

usko jo sunane baaqi hain,

Kuch kwaab jo dekhe the maine

Wo usko dikhaane baaqi hain.


- - - - Par waqt use milta hai kahaan, - - - - -

Haan waqt kabhi lauta ke use,

Us or agar le aaya to,

Main ab bhi adhhori aas liye,

Kuch us ke mutaaliq afsaane,

Jo us ke liye dekhe the kabhi wo kwaab liye,

Baitha hoon wahin,

Baitha hoon wahin

- - - - - - - - - - - - - - - -- - 'Tanha '


mujhe diya hai bahut toone shukriya ae dost,

ki kya naseeb tha mera jo kuch yahaan milta.

Jo tune mujko diya hai bahut hai mere liye,

Kabhi kisi ko muqammal jahaan nahin milta

KABHI KISI KO MUQAMAL JAHAAN NAHIN MILTA

Wednesday, March 16, 2011

BAS YOON HI KUCH




Khud apne aap se milna kahaan koi aasaan,

Humain to arsa hua khud ki hi khabar na hui.


Tamaam umr sitaaron ki roshni main kati,

Siyaah raat thi aisi ki phir seher na hui.


Meri zameen main ab koi gul nahin khilta,

tu khush to hai ki aah teri beasar na hui .


Kai the yaar, kai hamsafar, kai dilbar,

Bhare jahaan main tanhai mukhtasar na hui.


Rahee hamesha hi umeed waqt badlega

ki hogi talkhiy-e hayaat kam magar na hui.


Ye aur baat ki 'Tanha' ko dhoe phirte hain
magar ye sach hai saath apne hi guzar na hui

- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - 'Tanha'


Akele rehna agar chaaho, duniya gheregi,
jo chaaho mehfilain apna koi nahin milta .
khushi main 'Tanha' aur udaas mehfilon main raha,
Kabhi kisi ko muqammal jahaan nahin milta .

Kabhi kisi ko muqammal jahaan nahin milta